Sunday 10 July 2011

Sunday 3 July 2011

Ayaa Hoon Sang E Wehshat Ke Anbaar Dekh Kar

Ayaa Hoon Sang E Wehshat Ke Anbaar Dekh Kar
Khauf Arhaa Hai Sayaa E Deewar Dekh Kar

Aankhen Khuli Rahi Hain Meri, Intazaar Mein
Aaye Na Khwaab Deeda E Bedaar Dekh Kar

Gham Ki Dukaan Khol Ke Bethaa Hua Tha Mai
Aansuu Nikl Pary Hain Kharidaar Dekh Kar

Kya Ilm Tha Ke Phisalney Lagen Ge Mere Qadam
Mai To Chalaa Tha Raah Ko Hamvaar Dekh Kar

Har Koi Paarsa'ai Ki Umda Misaal Tha
Dil Khush Hua Hai Ek GunaahGaar Dekh Kar

Ye Be-Hisi Bhi Waqt E Madad Dekh Li
         ~*~*~FARAZ~*~*~

Katraa Gayaa Hai YaaR Ko Bhi Yaar Dekh Kar


 More in Sad Ghazals

Saturday 2 July 2011

Kitaab Saada Rahe Gi Kb Tak

Kitaab Saada Rahe Gi Kb Tak
Kbhi To Aghaaz E Baab Hoga

Jinho Ne Basti UjaarR Daali
Kbhi To Un Ka Hisaab Hoga

Saher Ki KhushyaaN Manaane Walo
Saher Ke Tewar Bata Rhe Han

Abhi To Itni Ghutan Barhe Gi
Ke Saans Lena Azaab Hoga

Uthey Gi Hm Pr Jo Eent Koi
To Patthar Us Ka Jawab Hoga

Sukoon E Sehraa Me Basny Walo
Zara RutoN Ke Mizaaj Smjho

Jo Aaj Ka Din Sukoon Se Guzraa
To Kal Ka Mousam Kharab Hoga........


More Sad Ghazals

AB KE MUJH KO DEKH KE

Ab Ke Mujh Ko Dekh Ke
Wo Dekhtaa Reh Jaye Ga

Is Qadar Badlen Ge Hum
Wo Sochtaa Reh Jaye Ga

Merey Chehrey Per Bhi Honge
BeRukhi Ke Zaaviey

Aisaa Hai K Mujh Mei Mujh Ko
Dhoondta Reh Jaaye Ga

Us Ki Gali Se Ab Kbi
Mera Guzr Mumkin Nhi

Wo Apny Ghar Ki Khirkio Se
Jhaankta Reh Jaaye Ga

Kiu AansuoN Ki Dhool Me
Main Zindagi Ko Jhonk Dun

Dil Ka Kiaa Hai, Toot'ta Hai
Toot'ta Reh Jaaye Ga


More Sad Ghazals

Kabhi Milen Ge To Phir...

Kabhi Milen Ge To Phir,
Tera Haal Puchen Ge...

Jawab Denge Na Kch,
Bus Sawal Puchen Ge...

Bataao Kesy Guzari Ye
Chaandni Raatein...

Tumhary Kese Kate
Maah o Saal Puchen Ge...

Kabhi Sukun Me Bhi
Iztarab Paya Hai...

Kabhi Khushi Mei Hua
Hai Malaal Puchen Ge...

Hamaari Yaad Kabhi
Aayi Ya Nahi...

Kabhi Hamara Bhi Aaya
Khayal Puchen Ge...


More Urdu Poetry