Monday, 31 December 2012

December Ki Aakhri Shab!

December Ki Ye Aakhri Shab!
Meray Doston Ke Naam!

Meri Subb Duuaen!
Meray Doston Ke Naam!

Kuch Ko Mai Ne Manaya!
Kuch Ne Mujhe Manaya!

Hum Ne Diye Ilzaam!
Ik Doosray Ke Naam!

Kuch Waaday Kiye Poore!
Kuch Reh Gaye Adhoore!

Nibhayenge Her Rishta!
Ahed e Wafa Ke Naam!

Chalti Rahey Ye Dosti!
Ta'Dum e Ikhtetaam!

Mera Hay Ye Peghaam!
Meray Doston Ke Naam!

Bheja Hay Ye Peghaam!
Apne Doston Ke Naam!

December Ki Aakhri Shab!
Meray Doston Ke Naam!!


More in Urdu Poetry

Sunday, 30 December 2012

Abhi Kuch Lamhey Baki Hain!


Abhi Kuch Lamhey Baki Hain
Saal Ke Khatm Hone Mei...

Chalo Aesa Kren Hum Tum
Giley Shikwey Jo Rehte Hain...

Humesha Darmiyaan Apney
Kiyun Na Khatm Kr Dalen...

Naye Waade, Nayi Kasmen
Nayi Ummeed Hum Bandhen...

Naye Andaaz Se Jeewan
Ka Ik Ik Rukh Badal Dalen...

Dilon Mei Hain Kadorat Jo
Humm Us Ko Khatm Kr Dalen..

Abhi Kuch Waqt Baki Hai
Naya Phir SAAL Aane Mei


Advance Happy New Year 2013!

Saturday, 29 December 2012

Saturday, 22 December 2012

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!


Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Tanha Saavan Bitaa Raha Hoon
Mai Saarey Armaan Jala Chuka Hoon
Jo Sholay Bharkey The Khwahisho Ke
Vo Aansu'on Sey Bujha Chuka Hoon!

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Chaak Daman Ko Si Raha Hoon
Bari Hi Mushkil Se Ji Raha Hoon
Diya Jo Nafrat Ka Zeher Us Ne
Samajh Ke Amrit Vo Pee Raha Hoon!

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Baghaer Us Ke Udaas Hoon Mai
Badalti Rutt Ka Qayyas Hoon Mai
Bujha Dey Apni Mohabbaton Sey
Sulagti Sadii'on Ki Pyaas Hoon Mai

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Tanha Saavan Bitaa Raha Hoon!


More in sad urdu poetry

Friday, 21 December 2012

Yaar Ke Ajaane Ko Yakayak Umr Dubaraa Janey Hay


Pata Pata, Boota Boota, Haal Hamara Janey Hay
Janey Na Janey, Gul Hi Na Janey, Bagh To Sara Janey Hay

Aashiq Sa To Saada Koi Or Na Ho Ga Duniya Mei
Jee Ke Zian Ko Ishq Mei Uskey Apna Waara Janey Hay

Chara Gari Bemari-e-Dil Ki Rasm e Shehr e Hussn Nahi
Warna Dilber e Nadaan Bhi Iss Dard Ka Chaara Janey Hay

Meher-o-Wafa-o-Lutf-o-Inaayat, Eik Se Waqif In Mei Nahi
Or To Sab Kuch Tanz-o-Kinaya, Rams-o-Ishaara Janey Hay

Aashiq To Murda Hay Hamesha Uth'ta Hay Dekhe Se Usey
Yaar Ke Ajaane Ko Yakaayak, Umr Dubaraa Janey Hay

Tashna-e-Khoon Hay Apna Kitna, Mir Bhi Nadaan Talkhi Kash
Damdaar Aab-e-Tegh Ko Uskey, Aabe-e-Gawara Janey Hay


More in urdu ghazals

Sunday, 16 December 2012

Saturday, 15 December 2012

Wednesday, 12 December 2012

Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hai Aaj


Fasal e Khiraad Hay Rang e Chaman Dekhtey Chalo
Phir Ehtamaam e Daar o Rasan Dekhtey Chalo...


Dilchasp Waqia Hay Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarron Ka Jal Rha Hay Badan Dekhtey Chalo...


Tanqeed Mat Karo Keh Zamana Kharaab Hay
Chup Chaap Doston Ka Chalan Dekhtey Chalo...


Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hay Aaj
Shaffaf Chandni Ka Kafan Dekhtey Chalo...


More in Urdu Ghazals

Monday, 3 December 2012

Sunday, 2 December 2012

Saturday, 1 December 2012