Saturday, 28 September 2013

Hawaaen Sard Ho Jaaen ' Ya Lehjay Barf Ho Jaaen

Hawaaen Sard Ho Jaaen
Ya Lehjay Barf Ho Jaaen,

Hum Us Ki Yad Ki Chadar Ko
Khud Pe Taan Letay Hain

Suno Darvaish Logon Ki

Koi Dunya Nahin Hoti

Milay Jo Khaak Rastay Mai
Usi Ko Chhan Letay Hain

Agar Woh Rooth Jata Hay
Hamari Jaan Jaati Hay

Yeh Saansain Jari Rakhnay Ko
Hum Us Ki Maan Letay Hain...!


Read another beautiful poetry
Tum Mangte Phiro Ge



Friday, 27 September 2013

Mohabbat Ka Erada Badal Jana Bhee Mushkil Hai



Mohabbat Ka Erada Badal Jana Bhee Mushkil Hai
Tumhe Khona Bhee Mushkil Hai, Tumhe Pana Bhee Mushkil Hai

Udaasi Terey Chehrey Ki Gawara Bhee Naheen Lekin
Teri Khatir Sitaare Torr Ke Lana Bhee Mushkil Hai

Zara Si Baat Pe Aankhain Betth Jatey Ho
Tumhe Tau Apney Dil Ka Haal Batana Bhee Mushkil Hai


May you like:

Tuesday, 24 September 2013

Chaho To Theher Jana ' Chaho To Guzar Jana

Avaaragi Mei Hum Ney Isko Bhee Hunar Jaana
Iqraar e Wafa Karna Phir Us Sey Mukar Jaana

Jab Khwaab Nahi Koi, Kya Zindagi Kar Karna Hay
Hr Subah Ko Jee Utthna ' Hr Raat Ko Marr Jana

Shab Bhar Ke Thikaane Ko ' Ik Chhat Ke Sivaa Kya Hay
Kya Waqt Pe Ghar Jana ' Kya Dair Se Ghar Jana

Aesa Na Ho Darya Mey Tum Baar e Giraan Thehro
Jb Logg Ziyada Hon Kashti Se Utar Jana

Suqraat Ke Peene Se Kya Mujh Pe Ayaan Hota
Khud Zeher Piya Mai Ne Tab Uska Asar Jana

Jb Bhi Nazar Aao Gay ' Hum Tum Ko Pukarain Gay
Chaho To Theher Jana ' Chaho To Guzar Jana


You may like:
Urdu Poetry on Khamoshi