kuch zikar karo us mosam ka jab ram jham rat raseeli thi
jab subha ka roop rupehla tha jab sham boht sharmeeli thi

jab phool mehekti rahon per qadmon se gajar baj uthte they
jab tan me sans ke sargam ki her deepak taan sureeli thi

jab khawab sarab jazeeron me khush fehem nazar ghul jati thi
jab piyar pawan ke jhonkon se har yad ki moj nasheeli thi

amrat ki mehek thi baton me nafrat ke sharar thay palkon per
wo hont nehayet meethay they wo aankh boht zehreeli thi

mohsin us sheher me marne ko ab is ke siwa kuch yad nahin
kuch zeher tha sheher ke pani me kuch khak ki rangat neeli thi

More in Mohsin Naqvi
0 comments:
Post a Comment