Tuesday 23 August 2016

Muhabbat Ko Bhulana Chaahiye Tha

Muhabbat Ko Bhulana Chaahiye Tha
Mujhay Jee Kar Dikhana Chaahiye Tha

Mujhay To Saath Bhi Us ka Bohat Tha
Usay Saara Zamaana Chaahiye Tha

Tum Us Kay Bin Adhooray Ho Gaye Ho
Tumhen Us ko Bataana Chaahiye Tha

Chiraaghaan Ho Raha Tha Shehar Bhar Men
Mujhay Bhi Dil Jalaana Chaahiye Tha

Suno! Yeh Khamoshi Achi Nahin Thi
Hamen Mehshar Uthaana Chaahiye Tha

Muhabbat Ka Taqaazah Tha Aggr Yeh
Mujhay Her Gham Chhupana Chaahiye Tha

Yeh Aisay Haar Kyun Maani Thi Tum Nay??
Muqaddar Aazmana Chaahiye Tha

Yeh Aansu Hain Alaamat Buzdili Ki
Dukhon Men Muskurana Chaahiye Tha

Amir chalo chalen k safar ho gaya tamam

Wafa ka pas rakhtay to rakhtay bhi kis kadar
tum ne wafa k nakash hi saray mita diye

Ye murdani to tum par hai murda nahi Watan mera
is naray ne tamashe k parday gira diye

Main kab talak safai don ab thak gaya hon main
Jazbay janazay ban rahe the so utha diye

Rastay me tanha chor k sab mujh ko chal diye
Wo jin pay main ne sach k khazane lota diye

Amir chalo chalen k safar ho gaya tamam
Aatish gaday me Saray Muhajir jala diye

Pakistan Hamari Jaan
Sab Se Pehle Pakistan

Mere Aansoo Mere Andar Girte Hain

Mere Aansoo Mere Andar Girte Hain
Jaise Darya Beech Samandar Girte Hain
Teri Yaaden Woh Tufaan Uthati Hain
Ek Ek Kar Ke Saare Manzar Girte Hain

Kitni Laheren Shairoon Main Dhal Jati Hain
Soch Ke Pani Main Jab Pathar Girte Hain

Hum Ne Thokar Kha Kar Chalna Seekha Hain
Aur Hain Woh Jo Thokar Kha Kar Girte Hain

Rone Wale Yeh Tujh Ko Maloom Nahin
Tere Aansoo Mere Dil Par Girte Hain

Tum Bas Is Ka Rog Laga Kar Baithe Ho
Sapnon Ke Yeh Ghar To Aksar Girte Hain

Kaat Raha Hai Koi Aankhoon Mein
Takiye Per Yeh Khuwab Jo Shab Bhar Girte Hain

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kia Kia Suna Gaye Aansoo
Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Monday 22 August 2016

Main mar raha hon Tumhari khatir Tum apni khatir mujhe bacha lo

Wo ja raha hai bichar k mujh se udas tanha isay mana lo
Jo main ne roka to ro paray ga isay pokaro isay mana lo

isay bata do Mohabaton me ye lamhe rehtay hain aatay jatay
Charagh bujne lage agar to wafa ye kehti hai phir jala lo

Malal kaisa Shikastigi ka isay to hona hi tha kisi ka
Agar wo ho hi gaya kisi ka to Aesa hone pay khaak dalo

Yehi takaza bhi hai wafa ka yehi rewayat bhi hai waha ki
Jo ro raha ho hasao is ko jo mar raha ho isay bacha lo

Chalo ye qissa tamam kar do Na Tum Hamaray Na Hum Tumharay
Kisi ko parhta hi fark kia hai khamosh reh lo ya shor macha lo

Tumhari yadoon ka wo nasha hai k ab sambhalna howa hai mushkil
Agar main waquii hon tumhara to girtay girtay mujhe sambhalo

Ye tum ko shayad na ho gawara main tum se waqif hon Jaan Meri
Main mar raha hon Tumhari khatir Tum apni khatir mujhe bacha lo 

Jack Ma Alibaba Website Creator

"I failed 3 times in college. I applied 30 times to get a job but I have always been rejected. When KFC came to China for the first time, we were 24 to apply and I was the only one to be dismissed. I wanted to go into the police and 5 postulants, I was the only one not to be accepted. I applied 10 times to return to Harvard University USA and I was rejected. "Jack Ma, Alibaba Creator and 22nd World fortune according to Forbes in 2015 with $ 29.8 billion. Never give up because you failed once, know that failure is sometimes out of the way to reach your intended route !!

Sunday 21 August 2016

Kyun kisi aur ko dukh dard sunaon apnay

Kyun kisi aur ko dukh dard sunaon apnay
Apni ankhon say bhi mein zakham chupaon apnay

Mein to qaem hon teray gham ki badolat warna!
Youn bikhar jaon k khud hath na aaon apnay

Shair logon k bohat yaad hein auron k liyeh
Tu milay to mein tujhay shair sunao apnay

Sochta hon k bujha don mein yeh kamray ka diya
Apnay saye ko bhi kyun sath jagaon apnay

Us ki talwar nay wo chaal chali hai aesi
Paon kattain hein ager hath bachaon apnay?

Akhiri baat mujhe yaad hai uski Anwar
Rog is ka na main dil se lagaon apne

Mohabbat k safar mein koi bhi rasta nahi deta

Mohabbat k safar mein koi bhi rasta nahi deta
Zameen waqif nahi banti falak saya nahi deta

gham or dukh sab k apne hote hain
Koi Kisi ko apne hissay ka lamha nahi deta

Udaasi jis k dil mein ho usi ki neend urti hai
Koi kisi ko apni aakhon ka sapna nahi deta

Uthana khud hi parta hai thaka toota badan apna
K jab tak sans chalti hai koi kandha nahi deta

chehre pe apna dast e karam pherti hui

chehre pe apna dast e karam pherti hui
maa ro pari hai gal mere choomti hui

ab kitne din raho ge mere pas tum yahan
thakti nahi woh mujhse yehi poochti hui

bechain hai woh kese mere chain ke liye
aatay hue dino ka safar sochti hui

kehti hai, kese katti hai pardes main teri
ankhon se apne ashk e rawan ponchti hui

rehti hai jagti woh meri neend ke lie
bachon ko mujhse door, parey rokti hui

har bar poochti hai, kis kam par ho tum
Fakhri woh sakht hath mere dekhti hui

mera tum bin ghar weeran piyaa

kabhi aan baso mery aangan main..
mera tum bin ghar weeran piyaa..

meri aankhain basi ujri hoi..
mera dil nagri sunsan piya..

Q tum bin dunya byronaq..
Q khali lagy jahan piya..

har haal main zinda reh lena..
nahi itna bhi aasan piya..

kuch aansoo, khamoshi r gham..
mera yahi hai sb saman piya..

main ny jeewan tery naam kia..
mery nawaqif anjan piya..

kabhi mery baary bhi socho..
koi dhoondho qabristan piya..

roota hai khali kursi par..
mera dhoop bhara daalan piya.

Saturday 20 August 2016

Niyat-E-Shauq Bhar Na Jaye Kahin

Niyat-E-Shauq Bhar Na Jaye Kahin 
Tu Bhi Dil Se Utar Na Jaye Kahin 

Aaj Dekhaa Hai Tujhe Der Ke Baad 
Aaj Kaa Din Guzar Na Jaaye Kahin 

Na Milaa Kar Udaas Logon Se 
Husn Teraa Bikhar Na Jaaye Kahin 

Aarazuu Hai Ke Tuu Yahaa.N Aaye 
Aur Phir Umr Bhar Na Jaaye Kahin 

Jii Jalaataa Huu.N Aur Ye Sochataa Huun 
Raayegaa.N Ye Hunar Na Jaaye Kahin 

Aao Kuchh Der Ro Hii Len 'Nasir'
Phir Ye Dariyaa Utar Na Jaaye Kahin 

tu ne us mor pe tora hai taluq, k jahan

tu ne us mor pe tora hai taluq, k jahan
dekh sakta nahi koi bhi palat ker jana

ab ye aalam hai k ankhean jo khulean gi apni
yaad aye ga teri deed ka manzer jana

mujh se mangay ga tere ehad-e-muhabt ka hisab
tere hijran ka dehkta hoa mehsher jana

yun mere dil k muqabil tera ghum aya hai
jese sheshy k muqabil koi pather jana

jese mehtaab ko be annt samnder chahay
main ne is tor se chaha tujhy akser jana

Tu Ne Halka Sa Sitam Rakha Hai Jari Mujh Per

Tu Ne Halka Sa Sitam Rakha Hai Jari Mujh Per
Ae mere dost koi zarb ho kari mujh par

Jab bhi galiyun me tera hijar pehan kar niklon
Tab ye poshak lage aur bhi piyari mujh par

Eik jangal ka sajar tha na roki meri uthan
Log bewaja chalatay rahay aari mujh par

Sham dhalti hai to chopkay se Mohabat Aatir
Neend ki tarhan se ho jati hai tari muj par

Friday 19 August 2016

Abbreviation of some common words.

Abbreviation of some common words
1.) *GOOGLE* - Global Organization Of Oriented Group Language Of Earth.
2.) *YAHOO* - Yet Another Hierarchical Officious Oracle.
3.) *WINDOW* - Wide Interactive Network Development for Office work Solution.
4.) *COMPUTER* - Common Oriented Machine Particularly United and used under Technical and Educational Research.
5.) *VIRUS* - Vital Information Resources Under Siege.
6.) *UMTS* - Universal Mobile Telecommunicati ons System.
7.) *AMOLED* - Active-matrix organic light-emitting diode.
8.) *OLED* - Organic light-emitting diode.
9.) *IMEI* - International Mobile Equipment Identity.
10.) *ESN* - Electronic Serial Number.
11.) *UPS* - Uninterruptible power supply.
12. *HDMI* - High-Definition Multimedia Interface.
13.) *VPN* - Virtual private network.
14.) *APN* - Access Point Name.
15.) *SIM* - Subscriber Identity Module.
16.) *LED* - Light emitting diode.
17.) *DLNA* - Digital Living Network Alliance.
18.) *RAM* - Random access memory.
19.) *ROM* - Read only memory.
20.) *VGA* - Video Graphics Array.
21.) *QVGA* - Quarter Video Graphics Array.
22.) *WVGA* - Wide video graphics array.
23.) *WXGA* - Widescreen Extended Graphics Array.
24.) *USB* - Universal serial Bus.
25.) *WLAN* - Wireless Local Area Network.
26.) *PPI* - Pixels Per Inch.
27.) *LCD* - Liquid Crystal Display.
28.) *HSDPA* - High speed down-link packet access.
29.) *HSUPA* - High-Speed Uplink Packet Access.
30.) *HSPA* - High Speed Packet Access.
31.) *GPRS* - General Packet Radio Service.
32.) *EDGE* - Enhanced Data Rates for Globa Evolution.
33.) *NFC* - Near field communication.
34.) *OTG* - On-the-go.
35.) *S-LCD* - Super Liquid Crystal Display.
36.) *O.S* - Operating system.
37.) *SNS* - Social network service.
38.) *H.S* - HOTSPOT.
39.) *P.O.I* - Point of interest.
40.) *GPS* - Global Positioning System.
41.) *DVD* - Digital Video Disk.
42.) *DTP* - Desk top publishing.
43.) *DNSE* - Digital natural sound engine.
44.) *OVI* - Ohio Video Intranet.
45.) *CDMA* - Code Division Multiple Access.
46.) *WCDMA* - Wide-band Code Division Multiple Access.
47.) *GSM* - Global System for Mobile Communications.
48.) *WI-FI* - Wireless Fidelity.
49.) *DIVX* - Digital internet video access.
50.) *APK* - Authenticated public key.
51.) *J2ME* - Java 2 micro edition.
52.) *SIS* - Installation source.
53.) *DELL* - Digital electronic link library.
54.) *ACER* - Acquisition Collaboration Experimentation Reflection.
55.) *RSS* - Really simple syndication.
56.) *TFT* - Thin film transistor.
57.) *AMR*- Adaptive Multi-Rate.
58.) *MPEG* - moving pictures experts group.
59.) *IVRS* - Interactive Voice Response System.
60.) *HP* - Hewlett Packard.

Thursday 18 August 2016

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha Mohsin
Mere qatil to mere apne hawari nikle

Monday 15 August 2016

Udasiyon Ka Ye Mosam Badal Bhi Sakta Tha

Udasiyon Ka Ye Mosam Badal Bhi Sakta Tha
Wo Chahta To Mere Sath Chal Bhi Sakta Tha

Wo Shaks Tu Ne Jise Chorne Mai Jaldi Ki
Tere Mizaj K Sanchay Mai Dhal Bhi Sakta Tha

Wo Jald'baaz Khafa Ho K Chal Dia Warna
Tanazay Ka Koi Hal Nikal Bhi Sakta Tha

Anaa Ne Haath Uthane Nai Dia Warna
Meri Dua Se Wo Pathar Dil Pighal Bhi Sakta Tha

Tamam Umer Tera Muntazir Raha Zeeshan
Ye Aur Baat, Who Rasta Badal Bhi Sakta Tha

Sunday 14 August 2016

Aakelay pan ki aziyaton ko shomar karna bhi sikh lo gay

Aakelay pan ki aziyaton ko shomar karna bhi sikh lo gay
Karo gay ulfat to roz jina roz marna bhi sikh lo gay

Koi irada abhi takhayol me phool ban k mehak raha hai
Jab asman ne mizaj badla to phir bikharna bhi sikh lo gay

Mohabbaton k ye sare rasaty  asan lagtay hain aibtida me
Tum aaj chal to rahe ho lekin kahin teharna bhi sikh lo gay

kisi khalish se farab kha kar tum apne jewan k raston se
Nazar badalti hoi roton ki tarhan guzarna bhi sikh lo gay

Khomar qurbat k khud faramosh mosamon me yonhi achanak
Tum apni hasti ki jan pehchan se mokarna bhi sikh lo gay

Ye wasal ka be sabat mosam judaiyon ko sadayen de ga
Hasan zara dair zinda rehne k bad  marna bhi sikh lo gay

Tukray utha utha k mere jorta hai wo

Tukray utha utha k mere jorta hai wo
jor jaon jab to phir se mujhe torta hai wo

Uthta hon subha ko to mehakta hai sara jisam
Khawabbon me sari raat mujhe urhta hai wo

Hum ne to ishq kar k khuda pa liya magar
jo be honar hai saangh se sar phorta hai wo

Parhta nahi sahifa e dil ki wo dastan
Har roz ek work faqat morta hai wo

ek shaks mujh me yon hai ubeda basa howa
mere liye jaga hi nahi chorta hai wo