chehre pe apna dast e karam pherti hui
maa ro pari hai gal mere choomti hui
maa ro pari hai gal mere choomti hui
ab kitne din raho ge mere pas tum yahan
thakti nahi woh mujhse yehi poochti hui
bechain hai woh kese mere chain ke liye
aatay hue dino ka safar sochti hui
kehti hai, kese katti hai pardes main teri
ankhon se apne ashk e rawan ponchti hui
rehti hai jagti woh meri neend ke lie
bachon ko mujhse door, parey rokti hui
har bar poochti hai, kis kam par ho tum
Fakhri woh sakht hath mere dekhti hui
0 comments:
Post a Comment