Aakelay pan ki aziyaton ko shomar karna bhi sikh lo gay
Karo gay ulfat to roz jina roz marna bhi sikh lo gay
Koi irada abhi takhayol me phool ban k mehak raha hai
Jab asman ne mizaj badla to phir bikharna bhi sikh lo gay
Mohabbaton k ye sare rasaty asan lagtay hain aibtida me
Tum aaj chal to rahe ho lekin kahin teharna bhi sikh lo gay
kisi khalish se farab kha kar tum apne jewan k raston se
Nazar badalti hoi roton ki tarhan guzarna bhi sikh lo gay
Khomar qurbat k khud faramosh mosamon me yonhi achanak
Tum apni hasti ki jan pehchan se mokarna bhi sikh lo gay
Ye wasal ka be sabat mosam judaiyon ko sadayen de ga
Hasan zara dair zinda rehne k bad marna bhi sikh lo gay
0 comments:
Post a Comment