Jab bhi hansne ke zamaane aaye
Zakhm phir yaad puraane aaye
Baar-ha unko manaaya to hamein
RooTh jaane ke bahaane aaye
Phir mujhe toot ke chaaha usne
Phir bichhaRne ke zamaane aaye
Muskuraa kar hamein milne waale
Zindagi bhar ko rulaane aaye
Kitni mahroom thiN neendein unki
Khaab bhi jin ko jagaane aaye
Teri chahat ne Thaharne na diya
Raah mein kitne thikaane aaye
Tu nahi hai to hawa ka jhoNka
Ghar ki zanjeer hilaane aaye
Dil bujhaa hai na jale hain kheeme
Aap kyuN jashn manaane aaye
Isi ummeed pe jaago yaaro!
Ab woh kis waqt na jaane aaye
Raas aaya jinhein sehra 'Muhsin'
Unki qismat mein khazaane aaye
0 comments:
Post a Comment